Humans Of NSMC
#3
I was 2 years when my father died, my elder brother died when I was in 8th standard, I was left with my mother, I was good in studies, lekin main hard working nai tha, dil kya to parh lya bs, lekin phr b 1st aata, l did my matriculation scoring good marks, us k baad meri qismat ka faisla hona tha, I was confused k engineer ban'na ya doctor,, at that time one of my aunt said "sab czns ny engineer hi ban'na hai kya tum doctor bano" & phr kya ho gya faisla, pre-medical main admission ly lya,, Allah Allah kar k f.sc b ho gye, phr mcat ki bari the, IN mcat first time in my life I worked very hard kyun k mjhy pta tha k 'now or never' mjhy apny lye kch karna tha, apni ammi k liye jinho ny mery liye muskhil waqt guzara,, now it became my dream to do MBBS.. Or phr mehnat rang lae, I got good marks in mcat & us waqt meri ammi chahti thi k main sargodha(SMC) main hi raho Un k pass reh kar MBBS karun,, lekin qismat ko kch or hi manzoor tha,, us saal merit bht zyada increase hua & got admission in Gujrat. Mixed feelings, admission ki Khushi bhi or ammi sy duri ka ghami bhi, shayd isy hi zindagi kehty hai, to jo Allah ko manzoor.. I said OK & started my journey here. Here the start was bit difficult, lekin rehna to idhr hi tha, jis ka koi nai hota us ka ALLAH hota hai, or main ny phr wohe kya, US zaat ka daman pakar lya, phr wo din or aj ka din mjhy nai pta time kesy guzar rha hai,, 1st year sy ab 4th year tk, har cheez bht ache guzre, Allah ny itni izzat di k us ka shukar ada karna muskhil hai.. bura waqt bhi aata hai, kch bury log bhi hoty hain, kch log aap ko achy bhi lagty hain, aap kisi ko chahty bhi ho,,lekin jo cheez mjhy inspire karti or right track par chalti k sab haalat main lazmi hai k ALLAH ko razi karna hai, wo sab dekh rha hai, us ny jis maqsad k liye behja hai wo karo, baqi dunya to sath chalti hi rehti hai (or isi liye ache chal rhe hai, bas yaqeen chahiye)
At last main ye kahun ga k apny ghr walo k sath acha raho, meri ammi ny Jitna muskhil waqt mery liye dekha hai, wo mera Khuda hi janta hai, jis ka main haq ada nai kar sakta..
Or sab k liye 1 nasehat ye k mehnat karo, lekin dunya ki bagh door main ALLAH ko na bhul jao, apni Zindagi ka maqsad agar smjh jao to behtari hai kyun k ALLAH ny tmhari qismat likhi hue hai, to Allah ko razi karo na k dunya ko.. The quotation is "The single leaf doesn't fall without HIS permission, Do u really think that he hasn't thought about ur future."
#khawaja_waqas
#4thyr
No comments:
Post a Comment