Humans OF NSMC
#4
Doctor banna as such mera Passion ni tha , behn MBBS kr rahi thi, or mje use follow krne ki adat thi.
tau mene bhi anay wa , Premed rakh li , or aik wja ye b thi k MBBS nahi krna tau or kya krna hai,
Cause basically mje kisi b subject m interest ni thi .
Night before MCAT, prep ko final touch dene k bad Jay-namaz bichaya ,
Mene kabhi bhi 'parhayi' ko lekr sentimental dua nahi mangi thi ,
Lekin pata ni kya hua tha , Anssoo yu'n jari the k Tham nahi rahe the.
Dua me graceful marks, acha score ni mang rahi thi,
Allah se uske bando'n ko serve krne ka Aik Chance mangrahi thi, aik Opportunity, jis s Allah ko Raazi kr saku'n.
Mene pehle kabhi apna ye passion Recognize nahi kia tha,
Dua khatam hui tau laga k Medical College ki Ticket milgayi.
Test diya , Result aya , Dil toot gya.
Bohut royi .. Islye nahi k ab admission ni hoga , masla ye tha k Wo jo Dua ki thi wo tau Qubool honi thi , Phr Allah ne Chance kyu nahi dya..
Fsc 2nd yr me max. 970 Marks laga k bhi aggregate 85.3 banta tha , pta tha k nahi hopaega.
1,2 din lage , phr socha PU me MMG join krlungi.
Fsc ka Result out hua .
Aj bhi yaad ha Bhaagte hue Mama Baba k paas gayi thi marks btanay.
994 thay , me janti thi mene itnay marks ka paper kiya hi nahi tha , jin subjects me atleast 9-10 marks deduct hone pakke the , un me 99 aye the or
Merit 86.04 pr pohanch gya.
Or Behn ko aisa follow kiya k Usi k colg me pohanch gyi... 😂
Us din Realize hua ,
K yeh kamyabi mujhe meri Mehnat ki wja se nahi , mere Yaqeen ki waja se mila hai.
Kyunke
*Allah tab nahi deta jab Hum Chahtay hen,
Wo us wqt deta ha jab Humen Zaroorat hoti hai* 😌